Aajkal Apne suna hoga Gmail Account bhut hack ho rhe hai. Aaye din kisi na kisi ka Gmail Account hack ho jata hai .Mere kai aise friend hai jinka account hack ho chuka hai aur ab wo chahte hai ki unka account hack hone se kaise bachaya jaye. Google ne apne authentication process mai kuch badlav kiya aur yeh badlav Gmail account security kay upar hai jisme app apne gmail account ko secure bna sakte hai aur hack hone se bhi bacha sakte ho. Ise security Feature ka name hai 2 step verification, issay pehle jaan lijeye ki 2 step verification hota kya hai aur ise kaise use karte hai.
Hum logo strong password se Gmail account ko hack hone se bacha sakte hai lakin ab hume gmail ki new security feature ka use karna chahiye.
2-step Verification Kya Hai aur Uski Jarurt Kyo Hai?
Google 2 step verification ek super strong security system hai aur ise security system se app apne Gmail account ko double secure bna sakte ho aur hack hone se bhi bacha sakte ho.
Aap sab log yahi soch rahe honge ki ise security system ki hume jarurat kya hai. Toh mai apko yaad dila du ki hum apna Gmail account bhut si jagah par use karte hai jaise ki Facebook par login, Twitter par login, ecommerce website par login aur kisi website mai subscribe karna jaise kai aise activity hai jha hum apni Gmail Id ka use karte hai, to aise jagah use karne se hacking ka khtra jyeda bad jata hai aur apka account hamesha kay liye hack ho sakta hai jise apkay jaruri documents aur personal chijo ka nuksaan ho sakta hai. To aise reasons ko dekhte hue hume apne Gmail account ko Google 2 step verification se secure karna chahiye.
jaisa ki maine bataya ki Gmail account ki secure karne kay liye hume Google 2 step verification ka use karna hi hoga. Jaise app apne gmail account par 2 step verification lagate hai apkay pass ek OTP aayega jise apka Gmail account open ho jayega. Matlab jab bhi app gmail account mai login karangay toh, tab gmail account se linked mobile number par ek OTP aayega aur jab tak app OTP nhi dalangay tab apka Gmail Account login nhi hoga
Google 2-Step Verification Ko Enable Kaise Kare – Hindi me Step By Step Jankari
Gmail Account ki security kay niche diye gye step ko follow kre:
How to Enable Two-Factor Authentication on Gmail
1.Gmail Account Me Login Kare
2.Sign-in & Security par click kare
3.2-Step Verification par Click kare
4.Get Started Par Click Kare
5.OTP Verify Kare
6.OTP Verification Code Confirm Kare
7.Two Step Verification Turn On Kare
Two factor authentication wali security feature sabse pehle Google ne shuru ki hai ab iskay baad Facebook, Twitter, Instagram aur Microsoft jaise company iska use karne lgi hai. Ab app niche diye gye step ko follow karke apne Gmail account ki 2 step verification security bda sakte ho.
Step 1# Gmail Account Me Login Kare
Sabse pehle toh app apne Gmail account mai login kre fir uskay baad uper bataye gye My Account tab par click kare.
Step 2# Sign-in & Security par click kare
My Account tab par click karne kay baad Ab Sign-in & security me “Singing in to Google” par click kare.
Step 3# 2-Step Verification par Click kare
Jaise app uper ki process ko follow karngay toh apkay samne kuch ise tarike se dekhega. Isme password tab kay niche 2 step verification ka option dekhega fir uspay click karna hai.
Note:- Make sure ki aap jo bhi Gmail account par 2-Step Verification enable kar rahe ho. To vo aapke current mobile number ke sath link ho.
Step 4# Get Started Par Click Kare
Jaise hi app upar ka process follow karnagay toh apkay bas Gat Started Button par click karna hoga 2 step verification kay liye.
Step 5# OTP Verify Kare
Ab aap apne mobile number ko verify kare, jise number par app OTP receive karangay. Ab app call ya Text message options se apna mobile number verify kar sakte ho. uskay bhi step kuch ise parkaar hai.
- Apna Gmail ke sathe linked mobile number dale.
- OTP Verification ke liye Text message ya Phone call ko select kare.
- Try It par click kare.
Step 6# OTP Verification Code Confirm Kare
Uper di gyi image mai TRY it button par click karte hi apko OTP verification code verification karne ka page aayega. Verification code add karke next par click kre..
Step 7# Two Step Verification Turn On Kare
Agle page mai apko ek window show hogi jisme Turn on ka Option aayega, apko uspay click karna hai.
To ab humara Google 2 step verification enable aur active ho jayega, jise humara account ab double security ho jayega. Ab app Google ki koi abhi application jisme Gmail se login hoga usmay 2 step verification se hi open hoga.